chalo ahad kar lain chalo ahad kar lain ham aik dosaray say kay abb agar kisi say mohabbat hui tu ham apni in ankhoon ko khali rakhain gaye koi khab in main utarnay na dain gaye kay jab khab totain tu in ki chubhan say ye ankhain lahu hoon chalo ahad kar lain kay abb agar kisi say mohabbat hui tu mohabbat karain gaye magar is tarhan say kay badlay main khuaish koi rakhain gay jo puri na ho sakay tu phir is ki jalan say jalay ga ye dil bhi chalo ahad kar lain ham aik dosaray say kay abb agar kisi say mohabbat hui tu mohabbat ki koi nashani na dain gaye na jazboon ko nazmoon main dhala karain gaye kay jab ho judaai tu ye sab aasasay nahi zakham dil kay chalo ahad kar lain ham aik dosaray say kay abb agar kisi say mohabbat hui tu ham aik dosaray ko bhola dain gaye dil say.
lab par ek halfay talab na raha
lab par ek halfay talab na raha tairay bad dil main ik tasheer ki khuaish na dua tairay bad abb tu aainna main kia daykhoon tairay bad ham tu phirtay hain khud apnay say khafa tairay bad dil na mahtab say uljha na jala tairay bad abb tu jugnu tha kay chup chap jala tairay bad ik ham hain kay baybargo nawa tairay bad warna yaad hai sab khalkay khuda sab tairay bad ik kiamat ki kharashain mairay chayharay oar sajeen ik mahshar mairay andar say utha tairay bad tuj say bichara hoon tu murjha kay hua barbad kon dayta mujhay kholnay ki dua tairay bad milnay walay kaye mahfoom pahan kar aye koi chayhara bhi na ankhoon na parha tairay bad ye alag baat hai afshan na hua tu warna main nay kitna tujhay mahsoos kia tairay bad mairi dukhti hui ankhoon say gawahi layna main nay socha tujhay apnay say sawa tairay bad sah liya dil nay tairay bad malamat ka azab warna chubti hai ragayjan main hawa tairay bad.
main thak gaya hoon
main thak gaya hoon guzartay lamhoon main thak gaya hoon bikhar gaya hoon main satioon say bichar gaya hoon ye satioon ki mafarqat bhi ajeeb shay hai kay jitna arsa ye sat chaltay hain choti choti fazool baatoon par ye roth jatay hain aur lartay hain dostoon kay jawan eraday shikast kartay hain rastay ki suabatoon say inhain daratay hain app dartay hain manziloon ko pukartay hain magar inhi kay wajood main musafiroon ko nikhartay hain guzartay lamhoon main satioon say bichar gaya hoon main apni tanhai kay taheer say dar gaya hoon main wo musafir hoon jiss kay paoon main manzil hain na gurayzan.
taiwar
tum mairi ankhn kay taiwar na bhola paoo gaye unkahi batoon ko samjo gaye tu yaad aoon ga ham nay khushioon ki tarhan dukh bhi ekathay daykhay safayezeest ko palto gaye tu yaad aoon ga is judai main tum andar say bikhar jao gaye kisi mazoor ko dakho gaye tu yaad aoon ga isi andaz main hotay thay mukhatib muj say khat kisi aur ko likho gaye tu yaad aoon ga mairi khasbo tumhain kholay gi gulaboon ki tarhan tum agar khud say na bolo gay tu yaad aoon ga sard rat kay mahektay hua sanatoon main jab kisi phool ko chomo gaye tu yaad aoon ga ajj tu mahfilay yaran par ho magroor buhat jab kabhi tot kay bikharoo gaye tu yaad aoon ga shal pahnaye ga abb december main tumhain barshoon main kabhi bhigoo gay tu yaad aoon ga hadsay aain gaye jiwan main tu tum hokay nidhal kisi diwar ko thamoo gaye tu yaad aoon ga is main shamil hai mairay waqat ki tareekhi bhi tum sia rang jo pahno gaye tu yaad aoon ga.
zamanay walay
rang kitna bhi karain un ka zamanay walay janay walay tu nahi lot kar anay walay kitni bayfaiz si rah jati hai dil ki basti kitnay chup chap chalay jatay hain janay walay ik pal cheen kar insan ko lay jata hai pichay rah jatay hain sab sat nibahanay walay loog kahtay hain kay wo dooray afaq par kar gaya kia kahoon aa mairay dil main utar anay walay janay walay tairay phirkad par khara sochata hoon khuaab he ho gaye tabeer batanay walay har niya zakham kisi aur ya sinay ka saod chair dayta hai mairay zakham puranay walay.
dil
abb kay yoon dil ko saza di ham nay is ki har baat bhola di ham nay ajj phir yaad buhat aya wo ajj phir is ko dua di ham nay koi tu baat hai is main faiz har khushi jiss par lota di ham nay.